Wednesday, October 16, 2013
Sunday, October 6, 2013
ramzan assalam
Assalam, Asalam, Asalaam, Aasalam
Air remat e azeem kay mehman assalam
Quran kay nazool kay saman asalam,
Ramzan Assalam, Aie Ramzan Asalam.
Air remat e azeem kay mehman assalam
Quran kay nazool kay saman asalam,
Ramzan Assalam, Aie Ramzan Asalam.
Anwar e mustafa ka ujala liye huey
Humday khuda ka saath hawala liye huway.
Tu aagaya hai aie mah e zeshaan assalam.
Ramadan Assalam, Aie Ramazan Asalam.
Humday khuda ka saath hawala liye huway.
Tu aagaya hai aie mah e zeshaan assalam.
Ramadan Assalam, Aie Ramazan Asalam.
Kyun na tujhay salaam karein arsh ore zameen
Teray sabab say sajdoon main jhuknay lagein jabeen
Teray sabab say sajdoon main jhuknay lagein jabeen
Juzdaan mein rahay nahin Quran assalam
Ramadaan Assalam, Aie Ramdan Asalam.
Ramadaan Assalam, Aie Ramdan Asalam.
Punjgana ho namaz kay har jo zakat ho
Hum sab rajoh kerat hain rehman ki taraf
Lekin karam ki had hai yeh Rab e Kareem ki
Ramzan chal kay aata hai insaan ki taraf
Hum sab rajoh kerat hain rehman ki taraf
Lekin karam ki had hai yeh Rab e Kareem ki
Ramzan chal kay aata hai insaan ki taraf
Phir masjidoon main ronakein aabad ho gayein
Bholi hoyi aabadatein phir yaad ho gayein
Hum per bara hai tera yeh ehsan asalam
Ramaadan Assalam, Aie Ramazan Asalam.
Bholi hoyi aabadatein phir yaad ho gayein
Hum per bara hai tera yeh ehsan asalam
Ramaadan Assalam, Aie Ramazan Asalam.
Sad shuker teray saath hai, pegham e eid bhi
Yani kay teray baad hai rozay saeed bhi
Kehtay hai tujh ko Aamir or Rehan asaalam
Ramadan Assalam, Aie Ramzan Asalam.
Yani kay teray baad hai rozay saeed bhi
Kehtay hai tujh ko Aamir or Rehan asaalam
Ramadan Assalam, Aie Ramzan Asalam.
Saturday, September 28, 2013
bismillah and surah ikhlas in different languagess
Al-Ikhlâs - The Purity

english
In the name of God, Most Gracious, Most Merciful
Say: He is Allah, the One and Only!
Allah, the Eternal, Absolute;
He begetteth not nor is He begotten.
And there is none like unto Him.
Say: He is Allah, the One and Only!
Allah, the Eternal, Absolute;
He begetteth not nor is He begotten.
And there is none like unto Him.
shpanish
En el nombre de Dios, el Compasivo, el Misericordioso!
Di: Él es Allah, el Único!
Dios, el Eterno, Absoluto;
No ha engendrado ni ha sido engendrado.
Y no hay otro semejante a él.
Sprich: Er ist Allah, der Eine und Einzige!
Allah, der Ewige, Absolute;
Er zeugt nicht, noch ist er gezeugt.
Und es gibt keinen wie Ihm.
Nǐ shuō:“Tā shì zhēnzhǔ, shì dú yī de!
Zhēnzhǔ, yǒnghéng de, juéduì de;
Tā méiyǒu shēngchǎn, yě bùshì tā de dúshēngzǐ.
Yǒu méiyǒu xiàng tā yīyàng.
Allāha, śāśvata, sampūrṇa;
Kula nahiṁ begetteth kē kula bigōṭana chē.
german
Im Namen Gottes, des Gnädigen, des BarmherzigenSprich: Er ist Allah, der Eine und Einzige!
Allah, der Ewige, Absolute;
Er zeugt nicht, noch ist er gezeugt.
Und es gibt keinen wie Ihm.
chinese
Zài shén de míngzì, zhìrén zhì cíNǐ shuō:“Tā shì zhēnzhǔ, shì dú yī de!
Zhēnzhǔ, yǒnghéng de, juéduì de;
Tā méiyǒu shēngchǎn, yě bùshì tā de dúshēngzǐ.
Yǒu méiyǒu xiàng tā yīyàng.
french
Au nom de Dieu, le Tout Miséricordieux, le Très Miséricordieux
Dis: Il est Allah, le Seul et Unique!
Allah, l'Eternel, Absolu;
Il donne naissance à pas ni n'est engendré.
Et nul n'est égal à Lui.
japaness
japaness
Kami no na no shita ni, fukaki jihi Iu: Kare wa
arrādeari, wan· Ando· onrī! Arrā, eien no, zettai-tekina; Kare ga inai begetteth mo kare ga umarete imasu.
Soshite kare no yōna dore mo arimasen.
gujarati
gujarati
Bhagavāna nā nāma, sauthī vadhu manōran̄jaka, sauthī vadhu kṣamāśīla
Kahē chē: Kula allāha chē, ēka anē mātra!Allāha, śāśvata, sampūrṇa;
Kula nahiṁ begetteth kē kula bigōṭana chē.
Anē tēnē sahī jēvā kaṁī chē.
turkish
Tanrı adına, Rahman, esirgeyendir
De ki: O Allah ki, bir ve tek!
Allah, Ebedi, Mutlak;
O değil doğurmamış ve ne de o doğurdu olduğunu.
Ve O'na gibi orada yok.
thai
Nı nām k̄hxng phracêā læa s̄ng̀ā thī̀s̄ud k̄hxng p̄hū̂thrng mettā s̄emx
Kl̀āw ẁā k̄heā pĕn xạl leāa h̄̒one and only!
Xạl leāa h̄̒ ni rạn dr̒ s̄ạmbūrṇ̒
K̄heā begetteth mị̀ dị̂ læa mị̀ pĕn k̄heā keid
Læa mī p̄hū̂ dı h̄emụ̄xn phraxngkh̒ khụ̄x
Kl̀āw ẁā k̄heā pĕn xạl leāa h̄̒one and only!
Xạl leāa h̄̒ ni rạn dr̒ s̄ạmbūrṇ̒
K̄heā begetteth mị̀ dị̂ læa mị̀ pĕn k̄heā keid
Læa mī p̄hū̂ dı h̄emụ̄xn phraxngkh̒ khụ̄x
italian
In nome di Dio, il Compassionevole, il Misericordioso
Di ': Egli è Allah, l'Unico!
Allah, l'Eterno, Assoluto;
Non ha generato non è stato generato.
E non c'è nessuno simile a lui.
afrikaans
In die naam van God, die Barmhartige, die Genadige
Sê: Hy is Allah, die Een en Enigste!
Allah, die ewige, Absolute;
Hy verwek nie of is Hy verwek.
En daar is niemand soos vir hom.
Wednesday, September 4, 2013
Saturday, August 31, 2013
jab gumbad-e-khizra pe
Jab Gumbad-e-Khizra Pe Woh Pehli Nazar Gayi
Aankhon Ke Raastay Mere Dil Mein Uttar Gayi
Sar Kham Tha Lab Khamoosh Thay Aankhein Thein Ashkbaar
Ik Sa'at-e-Bedaar Thei Jou Ke Guzar Gayi
Barsi Thei Iss Qadar Ke Naha Sa Gaya Udher
Woh Barish-e-Karam Mere Daaman Ko Bhar Gayi
Taiba Se Lautna Kissi Aashiq Se Poochiye
Aisa Hai Jaisay Rooh Badan Say Guzar Gayi
Jou Keh Sakaa Na Lab Se Mili Woh Murad Bhi
Mere Sukoot Per Bhi Shaha Ki Nazar Gayi
Awaz Ubaid Teri Ba Faizan-e-Naat Hee
Seeno Mein Aashiqan Nabi Kay Utar Gayi
Friday, August 30, 2013
hum ko bulana ya rasoolallah
Kabhi Tou Sabz Gumbad Ka Ujaala Hum Bhi Dekheingay
Humein Bulwayeingay Aaqa Madina Hum Bhi Dekheingay
Dharak Uthay Ga Dil Ya Dharakna Bhool Jayega
Dil-e-Bismil Ka Uss Dar Per Tamasha Hum Bhi Dekheingay
Adab Se Haath Baandhay Unke Rozay Par Kharay Hoongay
Sonehri Jaliyun Ka Youn Nazara Hum Bhi Dekheingay
Barasti Gumbad-e-Khizra Se Takrati Hui Bundhein
Wahan Par Shan Se Baarish Barasna Hum Bhi Dekheingay
Dar-e-Daulat Se Lautaya Nahin Jaata Koi Khaali
Wahan Khairat Ka Batna Khudaya Hum Bhi Dekheingay
Guzaray Raat Din Apne Issi Umeed Per Hum Ne
Kissi Din Tou Jamal-e-Ruay Zeba Hum Bhi Dekheingay
Dum-e-Rukhsat Qadam Mun Bharke Hain Mehsoos Karte Hain
Kisse Hai Jaake Laut Aanay Ka Yaara Hum Bhi Dekheingay
Pohonch Jayeingay Jiss Din Ae Ujaagar Unke Qadmon Mein
Kisse Kehte Hain Jannat Ka Nazara Hum Bhi Dekheingay
Thursday, August 29, 2013
kaabbay kee rounaq
Kaabay Kee Rounaq Kaabay Ka Manzar
Allaho Akbar Allaho Akbar
Allaho Akbar Allaho Akbar
Dekhon Tou Dekhay Jaon Barabar
Allaho Akbar Allaho Akbar
Hamd-e-Khuda Se Tar Hain Zubanein
Kano Mein Rus Gholti Hain Azaanein
Kano Mein Rus Gholti Hain Azaanein
Buss Ik Sadaa Aarahi Hai Baraabar
Allaho Akbar Allaho Akbar
Teray Haram Kee Kiya Baat Maula
Teray Karam Kee Kiya Baat Moula
Teray Karam Kee Kiya Baat Moula
Taa Umar Karday Aana Muqaddar
Allaho Akbar Allaho Akbar
Maangee Hain Mein Nay Jitnee Duain
Manzoor Hoongi Maqbool Hoongi
Manzoor Hoongi Maqbool Hoongi
Meezab-e-Rehmat Hay Meray Sar Par
Allaho Akbar Allaho Akbar
Yaad Agayein Jab Apni Khatayein
Ashkon Mein Dhalnay Lagee Iltijayein
Ashkon Mein Dhalnay Lagee Iltijayein
Roya Ghilaaf-e-Ka’aba Pakkar Kar
Allaho Akbar Allaho Akbar
Bheja Hai Jannat Se Tujhko Khuda Ne
Chuma Hai Tujh Ko Khud Mustafa Ne
Chuma Hai Tujh Ko Khud Mustafa Ne
Ae Sung-e-Aswad Tera Muqqadar
Allaho Akbar Allaho Akbar
Maula Sabhi Aur Kiya Chahta Hai
Buss Maghfirat Kee Ataa Chahta Hai
Buss Maghfirat Kee Ataa Chahta Hai
Bakhshish Kay Talib Pay Apna Karam Kar
Allaho Akbar Allaho Akbar
Wednesday, August 28, 2013
sir mera jhuka hai
Sir maira jhuka hai terey dar per mairey Allah
Sadqey main Muhammad (S.A.W.W) k karam kar mairey Allah
Sadqey main Muhammad (S.A.W.W) k karam kar mairey Allah
hai tu hi khuda sabka yahan Palney wala
majbooroun ka muhtaajoun ka dukh taalney wala
tu hi to hai Adam ko yahan bhejney wala
tu ne to aey khuda Nooh ko Toofa'an main sanbhala
Ayub ne mushkil main Madad teri hi payiii
Younus ko mili Pait se machli k rihayii
maira bhi banadey tu muqaddar mairey Allah
Sadqey main Muhammad (S.A.W.W) k karam kar mairey Allah
majbooroun ka muhtaajoun ka dukh taalney wala
tu hi to hai Adam ko yahan bhejney wala
tu ne to aey khuda Nooh ko Toofa'an main sanbhala
Ayub ne mushkil main Madad teri hi payiii
Younus ko mili Pait se machli k rihayii
maira bhi banadey tu muqaddar mairey Allah
Sadqey main Muhammad (S.A.W.W) k karam kar mairey Allah
Emaan k bhardey mairey seeney main ujaley
tu naik mughey kardey gunahoun se bacha ley
ho mugh pey karam tera terey Piyare Nabi (S.A.W.W) ka
muhtaj na rakh apney siwa mugh ko kisi ka
bhar dey aey khuda apni muhabbat se maira dil
ek pal na rahoon teri ibadat se main ghafil
uthey na terey dar se maira sir mairey Allah
Sadqey main Muhammad (S.A.W.W) k Karam kar mairey Allah.
tu naik mughey kardey gunahoun se bacha ley
ho mugh pey karam tera terey Piyare Nabi (S.A.W.W) ka
muhtaj na rakh apney siwa mugh ko kisi ka
bhar dey aey khuda apni muhabbat se maira dil
ek pal na rahoon teri ibadat se main ghafil
uthey na terey dar se maira sir mairey Allah
Sadqey main Muhammad (S.A.W.W) k Karam kar mairey Allah.
sajdoun ko mairey noor mila terey Haram ka
main shukr ada kaisey karoon terey karam ka
mugh per aey khuda tu ne yeh ehsaan kiya hai
emaan diya hai quraan diya hai
jub jism se ho jaye jaan khudaya
rakhna tu salamat maira emaan khudaya
nikley maira dum kalma e Haq per mairey Allah
Sadqey main Muhammad (S.A.W.W) k karam kar mairey Allah
main shukr ada kaisey karoon terey karam ka
mugh per aey khuda tu ne yeh ehsaan kiya hai
emaan diya hai quraan diya hai
jub jism se ho jaye jaan khudaya
rakhna tu salamat maira emaan khudaya
nikley maira dum kalma e Haq per mairey Allah
Sadqey main Muhammad (S.A.W.W) k karam kar mairey Allah
Monday, August 26, 2013
karam mangta hoon
Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Dua Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Dua Mangta Hoon
Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Ataa Kar Tu Shaan e Kareemi Ka Sadqa
Aata Ker De Shaan e Rareemi Ka Sadqa
Na Maangon Ga Tujhse To Mangoon Ga Kis Say
Tera Hon Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Karam Mangta Hoon , Ata Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Aata Ker De Shaan e Rareemi Ka Sadqa
Na Maangon Ga Tujhse To Mangoon Ga Kis Say
Tera Hon Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Karam Mangta Hoon , Ata Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Jo Muflis Hain Unko Tu Daulat Ataa Kar
Jo Beemar Hain Unko Sehat Ataa Kar
Jo Beemar Hain Unko Sehat Ataa Kar
Jo Muflis Hain Unko Tu Daulat Ataa Kar
Jo Beemar Hain Unko Sehat Ataa Kar
Mareezon ki Khatir Shifaa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Dua Mangta Hoon
Jo Beemar Hain Unko Sehat Ataa Kar
Mareezon ki Khatir Shifaa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Dua Mangta Hoon
Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Dua Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Dua Mangta Hoon
Jo Naadar Hain Kuch Nahi Jin ke Pallay
Unhen Bhi Dikha De Haram ke Tu Jalwe
Hazoori Ho Sab ki Duaa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Unhen Bhi Dikha De Haram ke Tu Jalwe
Hazoori Ho Sab ki Duaa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Woh Tanke Bharaktay Sharare Bhuja Day
Issay phir akhuwat ka gulshan bana de
Mein amno amman ki rida mangta houn
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Issay phir akhuwat ka gulshan bana de
Mein amno amman ki rida mangta houn
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Ilaahi Tujhe Wasta Panjtan Ka
Ho Shaadab Ghuncha Diloon Ke Chaman Ka
Main Sadqa e Ghaus ul Wara Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Ho Shaadab Ghuncha Diloon Ke Chaman Ka
Main Sadqa e Ghaus ul Wara Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Sunday, August 25, 2013
jagah ji lagane ki dunya nahi hn
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Jehan main hain ibrat k her so namoonay
Magar tujh ko andha kiya rang-o-boo nay
Kabhi ghor se bhee yeh dekha hai tu nay
Jo mamoor thay who mehal ab hain soonay
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Mile khak main ahl-e-shan kese kese
Makeen ho gaye la-makan kese kese
Huwe naamwar be nishan kese kese
Zamee kha gayee nojawan kese kese
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Zameen k huwe log paiwand kia kia
Malook-o-huzoor-o-khudawand kia kia
Dikhae ga tu chand roz kia kia
Ajal ne picharay tan-o-mand kia kia
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Ajal ne na kisra hee chora na dara
Isi se sikandar sa fateh bhee hara
Her ek chor k kia kia hasrat se dhara
Para reh gaya sab yahein that sara
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Tujhe pehle bachpan ne barson khilaya
Jawani ne phir tujh ko majnu banaya
Burhape ne phir aa k kia kia sataya
Ajal tera ker de gi bilkul safaya
Yehi tujh ko dhun hai rahoon sab se bala
Ho zeenat nirali, ho fashion nirala
Jiya kerta hai kia yoon hi marne wala
Tujhe husn-e-zahir ne dhokay main dala
Who hai aish-o-ishrat ka koi mehal bhee
Jehan taak main khari ho ajal bhee
Bas ab is jahalat se tu nikal bhee
Yeh tarz-e-mayeeshat ab apna badal bhee
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Yeh duniya-e-fani hai mehboob tujh ko
Huwi wah kia cheze marghoob tujh ko
Nahi aqal itni bhee majzoob tujh ko
Samajh lena ab chahiye khoob tujh ko
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Burhape se pa ker payam-e-kaza bhee
Na chonka na cheetah na sambhla zara bhee
Koi teri ghaflat ki hai inteha bhee
Junoon chor ker ker apnay hosh main aa bhee
Jab is bazm se chal diye dost aksar
Aur uthte chale ja rahe hain barabar
Her waqt paish-e-nazar hai yeh manzar
Yehan per tera dil behelta hai q ker
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Jehan main kahein shor-e-matam bapa hai
Kahein fikr-o-faqa se aah-o-baqa hai
Kahein shikwa jor-o-makr-o-dagha hai
Garz her teraf se yehi bas sada hai
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Jehan main hain ibrat k her so namoonay
Magar tujh ko andha kiya rang-o-boo nay
Kabhi ghor se bhee yeh dekha hai tu nay
Jo mamoor thay who mehal ab hain soonay
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Mile khak main ahl-e-shan kese kese
Makeen ho gaye la-makan kese kese
Huwe naamwar be nishan kese kese
Zamee kha gayee nojawan kese kese
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Zameen k huwe log paiwand kia kia
Malook-o-huzoor-o-khudawand kia kia
Dikhae ga tu chand roz kia kia
Ajal ne picharay tan-o-mand kia kia
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Ajal ne na kisra hee chora na dara
Isi se sikandar sa fateh bhee hara
Her ek chor k kia kia hasrat se dhara
Para reh gaya sab yahein that sara
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Tujhe pehle bachpan ne barson khilaya
Jawani ne phir tujh ko majnu banaya
Burhape ne phir aa k kia kia sataya
Ajal tera ker de gi bilkul safaya
Yehi tujh ko dhun hai rahoon sab se bala
Ho zeenat nirali, ho fashion nirala
Jiya kerta hai kia yoon hi marne wala
Tujhe husn-e-zahir ne dhokay main dala
Who hai aish-o-ishrat ka koi mehal bhee
Jehan taak main khari ho ajal bhee
Bas ab is jahalat se tu nikal bhee
Yeh tarz-e-mayeeshat ab apna badal bhee
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Yeh duniya-e-fani hai mehboob tujh ko
Huwi wah kia cheze marghoob tujh ko
Nahi aqal itni bhee majzoob tujh ko
Samajh lena ab chahiye khoob tujh ko
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Burhape se pa ker payam-e-kaza bhee
Na chonka na cheetah na sambhla zara bhee
Koi teri ghaflat ki hai inteha bhee
Junoon chor ker ker apnay hosh main aa bhee
Jab is bazm se chal diye dost aksar
Aur uthte chale ja rahe hain barabar
Her waqt paish-e-nazar hai yeh manzar
Yehan per tera dil behelta hai q ker
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Jehan main kahein shor-e-matam bapa hai
Kahein fikr-o-faqa se aah-o-baqa hai
Kahein shikwa jor-o-makr-o-dagha hai
Garz her teraf se yehi bas sada hai
Jagah Ji Lagane Ki Dunya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Ja Hai Tamasha Nahi Hai
Saturday, August 24, 2013
faslon ko khudara mita do
Faslon ko khudara mita do
Rukh say parda, ab apne hata do
Apna jalwa, kisi main dikha do
Jaliyon per nigahein jami hain.
Rukh say parda, ab apne hata do
Apna jalwa, kisi main dikha do
Jaliyon per nigahein jami hain.
Gous ul Azam ho, Ghouse ul Wara ho
Noor ho noor salle ala ho
Kiya bayan aapka martaba ho
Dastageer aur mushkil kusha ho
Aaj deedar apna kara do.
Noor ho noor salle ala ho
Kiya bayan aapka martaba ho
Dastageer aur mushkil kusha ho
Aaj deedar apna kara do.
Jaliyoon per nigahein jami hain…
Wajd main aaye ga sara aalam
Jab pukarein gay, Ya Ghous e Azam
Woh nikal aayein gay jaliyoon say
Aur kadmoon main gir jayein gay hum
Phir kahein ge, ke bigri bana do.
Jab pukarein gay, Ya Ghous e Azam
Woh nikal aayein gay jaliyoon say
Aur kadmoon main gir jayein gay hum
Phir kahein ge, ke bigri bana do.
Jaliyon per nigahein jami hain…
Shidat e gham say, ghabra gaya houn
Ab to jeenay say tang aa gaya houn
Har taraf app ko dhoundta hoon
Aur eik eik say yeh phuchta hoon
Koi paigham ho to bata doon.
Ab to jeenay say tang aa gaya houn
Har taraf app ko dhoundta hoon
Aur eik eik say yeh phuchta hoon
Koi paigham ho to bata doon.
Jaliyoon per nigahein jami hain…
Aik mujrim siyah kar houn main
Har khata ka saza war houn main
Meray charoon taraf hai andhera
Roshni ka talab gar houn main
Eik diya hee samajh kay jala do
Har khata ka saza war houn main
Meray charoon taraf hai andhera
Roshni ka talab gar houn main
Eik diya hee samajh kay jala do
Jaliyon par nigahein jami hein…
Fiqr dekho khayalat dekho
Yeh aqeedat yeh jazbat dekho
Main houn kiya meri auqat dekho
Samnay kiski hai zaat dekho
Aie Adeeb apnay sir ko jhuka do
Yeh aqeedat yeh jazbat dekho
Main houn kiya meri auqat dekho
Samnay kiski hai zaat dekho
Aie Adeeb apnay sir ko jhuka do
Jaliyon per nigahein jami hain
Jaliyoon par nigahein jmi hain
Jaliyoon par nigahein jmi hain
Faaslon ko khudara mita do
Rukh say parda, ab apne hata do
Apna jalwa, kisi main dikha do
Jaliyon per nigahein jami hain.
Rukh say parda, ab apne hata do
Apna jalwa, kisi main dikha do
Jaliyon per nigahein jami hain.
Tuesday, August 20, 2013
EH SABA MUSTAFA SE KEHDE NA
EH SABA MUSTAFA SE KEHDE NA
GHAM KE MAREY SALAM KEHTHE HAIN
YAAD KARTHE HAIN TUM KO SHAMO SAHAR
BE SAHARE SALAM KEHTE HAIN
BE SAHARE SALAM KEHTE HAIN
- ALLAH ALLAH HUZOOR KEE BATEN
MARHABA RANG NOOR KI BATEN
CHAND JINKI BALAYEEN LEYTHA HAI
AUR TAREY SALAM KEHTE HAIN
MARHABA RANG NOOR KI BATEN
CHAND JINKI BALAYEEN LEYTHA HAI
AUR TAREY SALAM KEHTE HAIN
- ZAA I REY KABA TU MADEENE MEiN
MERA AAQA SE ITNA KEH DENA
KAMLI WALE RASOOL SUN LI JYEE
GHUM KE MARE SALAM KEHTHE HAIN
MERA AAQA SE ITNA KEH DENA
KAMLI WALE RASOOL SUN LI JYEE
GHUM KE MARE SALAM KEHTHE HAIN
-ZIKR THA AKHIRI MAHINE KA
TAZKIRA CHILE DAYA MADINE KA
HAJION MUSTAFA SE KEHDENA
BE SAHARE SALAM KEHTHE HAIN
TAZKIRA CHILE DAYA MADINE KA
HAJION MUSTAFA SE KEHDENA
BE SAHARE SALAM KEHTHE HAIN
Monday, August 19, 2013
tauba qobool ho
Ya Rab mein gunahgar hoon tauba qabool ho
Isyaan pay sharm sar houn, tauba qabool ho.
Jaan sozo dil pigar houn, tauba qabool ho
Sartapa inqisar hoon, tauba qabool ho.
Sartapa inqisar hoon, tauba qabool ho.
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho.
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho…
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho…
Guzri tumam umar meri lahulad mein
Naiki nahin hai koi amal ki kitab main
Salah amal bhi koi nahin hai hisaab main
Dast e dua buland hai teri janab mein.
Naiki nahin hai koi amal ki kitab main
Salah amal bhi koi nahin hai hisaab main
Dast e dua buland hai teri janab mein.
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho.
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho.
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho…
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho.
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho…
Aisho nishat hi mein guzari hai zindagi
Har zawiye say apni sanwari hai zingadi
Mera khayal yeh tha kay jari hai zindagi
Lekin yeh hall ab hai kay bhari hai zindagi.
Har zawiye say apni sanwari hai zingadi
Mera khayal yeh tha kay jari hai zindagi
Lekin yeh hall ab hai kay bhari hai zindagi.
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho.
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho.
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho….
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho.
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho….
Mein houn gunahgar magar Tu to haikareem
Main hoon siyah kar magar Tu to hai raheem
Mein houn fana pazeer magar Tu to hai qadeem
Main hoon siyah kar magar Tu to hai raheem
Mein houn fana pazeer magar Tu to hai qadeem
Main adna o haqeer sahih Tu to hai azeem.
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho.
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho.
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho…
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho.
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho…
Ya Rub Teray karam Teri rehmat ka wasta
Ya rab Teri aata Teri naimat ka wasta
Ya Rub teray jalal o jalalat ka wasta
Ya Rab Rasool e Haq ki risalat ka wasta.
Ya rab Teri aata Teri naimat ka wasta
Ya Rub teray jalal o jalalat ka wasta
Ya Rab Rasool e Haq ki risalat ka wasta.
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho.
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho.
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho…
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho.
Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho…
Sunday, August 18, 2013
Subscribe to:
Comments (Atom)









